Shayris again

Jindagi itni tanha na hoti,
agar hamari kabhi unse mulaqathi hui na hoti,
Har pal un yadonke ehsas mein
khoye rahete hai hum,
aur hamari khamoshi toh,
unse na milke hi kinare ho jati...


Kisiki dosti nasha ban jaye,
itni beqrari hum mein nahin,
lekin hamara nasha chadhnewalebhi,
iss duniya mein kam nahin...


Ankhonse sapne chura gaya koi,
Mann mein sailab de gaya koi,
Iss mukam mein na jane kitne
Manzar aake chale gaye,
lekin aasuonko bhulana na sikha paya koi...


Hamari jindagi aaj palke jhukake khadi hai
lekin intazar khatmahi nahin hota,
Ek ikrar sunane ke liye jeete rahe puri jindagibhar
lekin woh izharbhi pura nahin hota,
Nakam jindagi jeeneki toh mano aadatsi ho gayee hai,
Ki ab hum jinda hai ye ehsas bhi nahin hota...

Comments

Unknown said…
ek ekrar sunaneke liye jindagi nahi hai,
ezahar ke liye ek banda nahi hota.
khuda ki jindagi main andher nahi hai,
bandeki taqluf ka shayad apko ehsas huva hota.

u r last line is gr8 in every creation..

Popular posts from this blog

Seasons

Questions again !!